kuchh sunao ki ji nahin lagta
kuchh sunāo ki jī nahīñ lagtā
gungunāo ki jī nahīñ lagtā
dhaḌkanoñ meñ zarā to halchal ho
paas aao ki jī nahīñ lagtā
kab se rūThī maiñ tum se baiThī huuñ
ab manāo ki jī nahīñ lagtā
mujh pe haq hai tumhārā jān-e-jāñ
haq jatāo ke jī nahīñ lagtā
mujh se islāh lo raqīboñ par
jī jalāo ki jī nahīñ lagtā
ḳhud ko kitnā maiñ toḌ saktī huuñ
āzmāo ki jī nahīñ lagtā
merī duniyā kī āftāb ho tum
jagmagāo ki jī nahīñ lagtā
ab na tāroñ se raat mānegī
chāñd laao ki jī nahīñ lagtā
āḳhirī aas TūTne ko hai
lauT aao ki jī nahīñ lagtā
kuchh sunao ki ji nahin lagta
gungunao ki ji nahin lagta
dhaDkanon mein zara to halchal ho
pas aao ki ji nahin lagta
kab se ruThi main tum se baiThi hun
ab manao ki ji nahin lagta
mujh pe haq hai tumhaara jaan-e-jaan
haq jatao ke ji nahin lagta
mujh se islah lo raqibon par
ji jalao ki ji nahin lagta
KHud ko kitna main toD sakti hun
aazmao ki ji nahin lagta
meri duniya ki aaftab ho tum
jagmagao ki ji nahin lagta
ab na taron se raat manegi
chand lao ki ji nahin lagta
aaKHiri aas TuTne ko hai
lauT aao ki ji nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.