kuchh tha uski yaad ka jadu aur kuchh in fankaron ne
kuchh thā us kī yaad kā jaadū aur kuchh in fankāroñ ne
zulm kiye haiñ kaise kaise piiTh ke pīchhe yāroñ ne
ham bhī sabuktagīn bane the ik din dasht ke pahlū meñ
ham par bhī mazmūn likhā thā in manfī kirdāroñ ne
vatan-e-‘azīz kī shaan meñ kis ne nauha likkhā raat ga.e
kis ke naam kā parcha kaaTā vatan ke in ġhaddāroñ ne
sub.h huī to she'r likhe the shahr kī sab dīvāroñ par
shaam huī thī dīvāroñ par naam likhe the yāroñ ne
chaudah saal se ham jis shaḳhs ko DhūñD rahe the yaar 'nadīm'
aaj us shaḳhs ko dekhā ham naqsh banī dīvāroñ ne
kuchh tha us ki yaad ka jadu aur kuchh in fankaron ne
zulm kiye hain kaise kaise piTh ke pichhe yaron ne
hum bhi sabuktagin bane the ek din dasht ke pahlu mein
hum par bhi mazmun likha tha in manfi kirdaron ne
watan-e-‘aziz ki shan mein kis ne nauha likkha raat gae
kis ke nam ka parcha kaTa watan ke in ghaddaron ne
subh hui to she'r likhe the shahr ki sab diwaron par
sham hui thi diwaron par nam likhe the yaron ne
chaudah sal se hum jis shaKHs ko DhunD rahe the yar 'nadim'
aaj us shaKHs ko dekha hum naqsh bani diwaron ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.