kuchh the mere hathon mein kuchh muqim sine mein
kuchh the mere hathon mein kuchh muqim sine mein
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
kuchh the mere hāthoñ meñ kuchh muqīm siine meñ
ab savār haiñ saare ajnabī safīne meñ
karb se hue saiqal aks kar ga.e mohmal
aarzū ke ā.īne aas ke ḳhazīne meñ
koī ek lamha hai jis meñ din samā jaa.eñ
saal Duub sakte haiñ sirf ik mahīne meñ
aarzū kī hiddat se barf-e-tishnagī pighlī
umr ghul ga.ī lekin chand ghūñT piine meñ
haath jab uThāte haiñ un ke but nahīñ girte
munfarid munāfiq haiñ ziist ke madīne meñ
pesha-var mahārat se ijtināb bartā hai
sozan-e-muqaddar ne mere zaḳhm siine meñ
un ko mai taḳhayyul kī raas jab bhī aa jaa.e
lafz raqs karte haiñ dil ke ābgīne meñ
kuchh the mere hathon mein kuchh muqim sine mein
ab sawar hain sare ajnabi safine mein
karb se hue saiqal aks kar gae mohmal
aarzu ke aaine aas ke KHazine mein
koi ek lamha hai jis mein din sama jaen
sal Dub sakte hain sirf ek mahine mein
aarzu ki hiddat se barf-e-tishnagi pighli
umr ghul gai lekin chand ghunT pine mein
hath jab uThate hain un ke but nahin girte
munfarid munafiq hain zist ke madine mein
pesha-war mahaarat se ijtinab barta hai
sozan-e-muqaddar ne mere zaKHm sine mein
un ko mai taKHayyul ki ras jab bhi aa jae
lafz raqs karte hain dil ke aabgine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.