kuchh to ai sailani kah
kuchh to ai sailānī kah
kah kuchh bahte paanī kah
shahar ke shor se bhāgā huuñ
mujh se kuchh vīrānī kah
Tuk Tuk dekhā kartī hai
kah kuchh guḌiyāñ raanī kah
kuchh to ho ehsās nayā
koī baat purānī kah
kahāñ kahāñ bhaTkā.egā
tū ise dāna-pānī kah
merā bhī chhuTkārā ho
jo hai dil meñ Thānī kah
itnā to kar ai 'tāsīr'
mushkil ko āsānī kah
kuchh to ai sailani kah
kah kuchh bahte pani kah
shahar ke shor se bhaga hun
mujh se kuchh virani kah
Tuk Tuk dekha karti hai
kah kuchh guDiyan rani kah
kuchh to ho ehsas naya
koi baat purani kah
kahan kahan bhaTkaega
tu ise dana-pani kah
mera bhi chhuTkara ho
jo hai dil mein Thani kah
itna to kar ai 'tasir'
mushkil ko aasani kah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.