kuchh to aKHlaq ki qadron ko ujale koi
kuchh to aḳhlāq kī qadroñ ko ujāle koī
ik tabassum hī mirī samt uchhāle koī
aaj ke ḳhaar lahū piite haiñ insānoñ kā
kyoñ liye phirtā hai ab paañv meñ chhāle koī
jaane kyā baat hai mā.il-ba-karam haiñ kuchh log
mujh ko is taaza musībat se bachā le koī
maiñ fazāoñ meñ bikhar jā.ūñgā ḳhushbū kī tarah
ik haqīqat hai kitāboñ meñ sajā le koī
lazzat-e-ġham ko taras jāoge 'nāsir' tum bhī
zulm karne se agar haath uThā le koī
kuchh to aKHlaq ki qadron ko ujale koi
ek tabassum hi meri samt uchhaale koi
aaj ke KHar lahu pite hain insanon ka
kyon liye phirta hai ab panw mein chhaale koi
jaane kya baat hai mail-ba-karam hain kuchh log
mujh ko is taza musibat se bacha le koi
main fazaon mein bikhar jaunga KHushbu ki tarah
ek haqiqat hai kitabon mein saja le koi
lazzat-e-gham ko taras jaoge 'nasir' tum bhi
zulm karne se agar hath uTha le koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.