kuchh to fughan ka KHair bahana hi hota hai
kuchh to fuġhāñ kā ḳhair bahāna hī hotā hai
kuchh kam samā'atoñ ko sunānā bhī hotā hai
dekho hamāre chāk-e-garebāñ pe ḳhush na ho
ye hai junūñ aur is kā nishāna bhī hotā hai
āzād-gāñ ko ḳhāna-ḳharābī kā kyā malāl
kyā mauj-e-gul kā koī Thikāna bhī hotā hai
ham is jagah meñ ḳhush haiñ ki aise ḳharāboñ meñ
sāñpoñ ke saath saath ḳhazāna bhī hotā hai
maiñ kyoñ Darūñ ki jaan se jaatā huuñ ek baar
dushman ko mere lauT ke aanā bhī hotā hai
ab aap log sūd-o-ziyāñ sochte raheñ
banda to chauthī samt ravāna bhī hotā hai
kuchh to fughan ka KHair bahana hi hota hai
kuchh kam sama'aton ko sunana bhi hota hai
dekho hamare chaak-e-gareban pe KHush na ho
ye hai junun aur is ka nishana bhi hota hai
aazad-gan ko KHana-KHarabi ka kya malal
kya mauj-e-gul ka koi Thikana bhi hota hai
hum is jagah mein KHush hain ki aise KHarabon mein
sanpon ke sath sath KHazana bhi hota hai
main kyon Darun ki jaan se jata hun ek bar
dushman ko mere lauT ke aana bhi hota hai
ab aap log sud-o-ziyan sochte rahen
banda to chauthi samt rawana bhi hota hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 111)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.