kuchh to haalat ne diwana bana rakkha hai
kuchh to haalat ne diwana bana rakkha hai
Tabassum Nigam Dehlvi
MORE BYTabassum Nigam Dehlvi
kuchh to hālāt ne dīvāna banā rakkhā hai
aur kuchh un ke taġhāful ne manā rakkhā hai
ḳhauf-e-shab ne mujhe dīvāna banā rakkhā hai
maiñ ne din hī se charāġhoñ ko jalā rakkhā hai
shauq se aap ise tauhīn-e-bahārāñ kahiye
maiñ ne har phuul se dāman ko bachā rakkhā hai
haram-o-dair se aage hai mirā zauq-e-talab
āstān-e-haram-o-dair meñ kyā rakkhā hai
dar-o-dīvār se zāhir haiñ tabāhī ke nishāñ
maiñ ne ġham-ḳhāne ko ġham-ḳhāna banā rakkhā hai
jazb ho jaatā hai Dhaltā hai jo aañsū ai dost
maiñ ne dāman meñ sitāroñ ko chhupā rakkhā hai
Thes lagte hī ye paimāna chhalak jā.egā
kyoñ mire dil ko nigāhoñ se girā rakkhā hai
sun ke rūdād-e-vafā hañs ke vo farmāte haiñ
ai 'tabassum' tire afsāne meñ kyā rakkhā hai
kuchh to haalat ne diwana bana rakkha hai
aur kuchh un ke taghaful ne mana rakkha hai
KHauf-e-shab ne mujhe diwana bana rakkha hai
main ne din hi se charaghon ko jala rakkha hai
shauq se aap ise tauhin-e-bahaaran kahiye
main ne har phul se daman ko bacha rakkha hai
haram-o-dair se aage hai mera zauq-e-talab
aastan-e-haram-o-dair mein kya rakkha hai
dar-o-diwar se zahir hain tabahi ke nishan
main ne gham-KHane ko gham-KHana bana rakkha hai
jazb ho jata hai Dhalta hai jo aansu ai dost
main ne daman mein sitaron ko chhupa rakkha hai
Thes lagte hi ye paimana chhalak jaega
kyon mere dil ko nigahon se gira rakkha hai
sun ke rudad-e-wafa hans ke wo farmate hain
ai 'tabassum' tere afsane mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.