Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

MORE BYPandit Jagmohan Nath Raina Shauq

    kuchh to ho dard lazzat sahī

    terī ulfat meñ aziyyat sahī

    dard ko dard na jab samjhe

    bad-gumānī tirī aadat sahī

    dil-e-mahjūr meñ armān-e-visāl

    na sahī diid hasrat sahī

    but-kada chhoḌne vaale to na the

    ḳhair miltī hai to jannat sahī

    dil ko thā ḳhaak meñ milnā so milā

    dekhne vāloñ ko ibrat sahī

    is sitamgār ne kar tauba

    ai falak haañ koī aafat sahī

    koī jalva nazar aa.e shāyad

    TikTikī bañdhne aadat sahī

    haiñ kisī jalve āñkheñ mushtāq

    kuchh kam-o-besh ye ġhaflat sahī

    ishq boltī tasvīr hai 'shauq'

    dekhne vāloñ ko hairat sahī

    kuchh to ho dard ki lazzat hi sahi

    teri ulfat mein aziyyat hi sahi

    dard ko dard na jab tu samjhe

    bad-gumani teri aadat hi sahi

    dil-e-mahjur mein arman-e-visal

    na sahi did ki hasrat hi sahi

    but-kada chhoDne wale to na the

    KHair milti hai to jannat hi sahi

    dil ko tha KHak mein milna so mila

    dekhne walon ko ibrat hi sahi

    is sitamgar ne kar li tauba

    ai falak han koi aafat hi sahi

    koi jalwa nazar aae shayad

    TikTiki bandhne ki aadat hi sahi

    hain kisi jalwe ki aankhen mushtaq

    kuchh kam-o-besh ye ghaflat hi sahi

    ishq ki bolti taswir hai 'shauq'

    dekhne walon ko hairat hi sahi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now