kuchh to hota is se ziyaada tere baad judai mein
kuchh to hotā is se ziyāda tere baa'd judā.ī meñ
ek izāfa kyā hotā hai sadiyoñ kī tanhā.ī meñ
bhūle-bisre dard purāne milne aate haiñ ab aise
bilkul jaise phuul pakherū ujḌī sī añgnā.ī meñ
lahroñ ke sang khel rahī thiiñ ujlī ujlī sī yādeñ
Duub gayā phir manzar saarā dariyā kī gahrā.ī meñ
kaisī udāsī ghultī jaa.e shaam Dhale purvā.ī meñ
kis kī chīḳheñ guuñj rahī haiñ duur vahāñ shahnā.ī meñ
apne hī dil kā dhyān aayā bojhal āñkhoñ ne jab dekhā
tanhā parinda uḌtā huā shab tāroñ kī parchhā.ī meñ
kuchh to hota is se ziyaada tere ba'd judai mein
ek izafa kya hota hai sadiyon ki tanhai mein
bhule-bisre dard purane milne aate hain ab aise
bilkul jaise phul pakheru ujDi si angnai mein
lahron ke sang khel rahi thin ujli ujli si yaaden
Dub gaya phir manzar sara dariya ki gahrai mein
kaisi udasi ghulti jae sham Dhale purwai mein
kis ki chiKHen gunj rahi hain dur wahan shahnai mein
apne hi dil ka dhyan aaya bojhal aankhon ne jab dekha
tanha parinda uDta hua shab taron ki parchhai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.