kuchh to is dasht-e-gum-asar ki virani se
kuchh to is dasht-e-gum-āsār kī vīrānī se
kuchh to mar jā.eñge ham apnī pareshānī se
ek ḳheme kī tanābeñ kaTeñ vahshat ke sabab
ek ḳhanjar kī bujhī pyaas ḳhūñ-afshānī se
ik faqīr aaj bhī gardan ko uThātā hī nahīñ
jhuk ga.ī thī kisī hijrat pe pashemānī se
maiñ ki bichhḌā thā kisī shaḳhs se barsoñ pahle
tab se sahmā huuñ maiñ qudrat kī nigahbānī se
ab jo is shahr meñ aa.e to muqaddar jaano
ham mayassar kahāñ aate haiñ yuuñ āsānī se
ham husainī haiñ hameñ pyaas kī shiddat kaisī
surḳh-rū aaj bhī vaise hai lahū paanī se
aa hī jā.eñge adākārī ke kuchh Dhab 'āsif'
kaun bach saktā hai is 'ālam-e-insānī se
kuchh to is dasht-e-gum-asar ki virani se
kuchh to mar jaenge hum apni pareshani se
ek KHeme ki tanaben kaTen wahshat ke sabab
ek KHanjar ki bujhi pyas KHun-afshani se
ek faqir aaj bhi gardan ko uThata hi nahin
jhuk gai thi kisi hijrat pe pashemani se
main ki bichhDa tha kisi shaKHs se barson pahle
tab se sahma hun main qudrat ki nigahbani se
ab jo is shahr mein aae to muqaddar jaano
hum mayassar kahan aate hain yun aasani se
hum husaini hain hamein pyas ki shiddat kaisi
surKH-ru aaj bhi waise hai lahu pani se
aa hi jaenge adakari ke kuchh Dhab 'asif'
kaun bach sakta hai is 'alam-e-insani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.