kuchh to is karb-e-musalsal ki dawa do mujhko
kuchh to is karb-e-musalsal kī davā do mujh ko
koī naġhma hī mohabbat kā sunā do mujh ko
pyaas ab had se guzarne kī tamannā.ī hai
apnī maḳhmūr nigāhoñ se pilā do mujh ko
be-ḳhayālī ke liye tum se mu'āfī lekin
tum ise jurm samajhte ho sazā do mujh ko
is se pahle ki maiñ sahrā meñ bhaTak jā.ūñ kahīñ
mere rastoñ merī manzil kā pata do mujh ko
maiñ kise kah duuñ zamāne meñ tumhāre jaisā
dūsrā koī to apnā sā dikhā do mujh ko
itnā dushvār nahīñ huuñ ki samajh hī na sako
itnā āsāñ bhī nahīñ huuñ ki bhulā do mujh ko
kuchh to is karb-e-musalsal ki dawa do mujh ko
koi naghma hi mohabbat ka suna do mujh ko
pyas ab had se guzarne ki tamannai hai
apni maKHmur nigahon se pila do mujh ko
be-KHayali ke liye tum se mu'afi lekin
tum ise jurm samajhte ho saza do mujh ko
is se pahle ki main sahra mein bhaTak jaun kahin
mere raston meri manzil ka pata do mujh ko
main kise kah dun zamane mein tumhaare jaisa
dusra koi to apna sa dikha do mujh ko
itna dushwar nahin hun ki samajh hi na sako
itna aasan bhi nahin hun ki bhula do mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.