kuchh to nuqsan hamein apni sharafat mein hua
kuchh to nuqsān hameñ apnī sharāfat meñ huā
aur baaqī jo bachā thā so mohabbat meñ huā
mas.ala jitnā bhī sangīn rahā ho lekin
faisla jo bhī huā ham se vo ujlat meñ huā
shāḳh se TuuTā to pāmāl kiyā logoñ ne
barg kā hashr ajab ālam-e-hijrat meñ huā
mujh ko arbāb-e-zamāna se koī laag na thī
maiñ to mardūd-e-jahāñ bas tirī shafqat meñ huā
ḳhāksārī pe bahut naaz use thā lekin
us kā saanī bhī magar kaun ra.ūnat meñ huā
surḳh-rūī tire darbār meñ kis ne paa.ī
taaq vaise to bahut maiñ bhī liyāqat meñ huā
kuchh to nuqsan hamein apni sharafat mein hua
aur baqi jo bacha tha so mohabbat mein hua
masala jitna bhi sangin raha ho lekin
faisla jo bhi hua hum se wo ujlat mein hua
shaKH se TuTa to pamal kiya logon ne
barg ka hashr ajab aalam-e-hijrat mein hua
mujh ko arbab-e-zamana se koi lag na thi
main to mardud-e-jahan bas teri shafqat mein hua
KHaksari pe bahut naz use tha lekin
us ka sani bhi magar kaun raunat mein hua
surKH-rui tere darbar mein kis ne pai
taq waise to bahut main bhi liyaqat mein hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.