kuchh to pindar-e-mohabbat ki wo izzat rakkhe
kuchh to pindār-e-mohabbat kī vo izzat rakkhe
itnā mushkil hai ta'alluq to kaho mat rakkhe
ġhalatiyāñ dekh ke chup kyoñ rahūñ us ke aage
Toktā hai to vo sunñe kī bhī himmat rakkhe
maiñ to manzil kī faqat raah dikhā saktā huuñ
har qadam apne vo apnī hī badaulat rakkhe
kaun suntā hai kisī aur kā ġham duniyā meñ
ham ko dekho ki haiñ siine meñ qayāmat rakkhe
maiñ isī ḳhalq kī ḳhidmat se ḳhudā pā lūñgā
aur baiThe raho tum apnī ibādat rakkhe
ye mohabbat hī mujhe qaid na lagne lag jaa.e
ishq ke khel meñ itnī to suhūlat rakkhe
ḳhud ko jab ḳhidmat-e-insāñ ke liye vaqf kiyā
merī jis shaḳhs ko jitnī ho zarūrat rakkhe
maiñ bhī kuchh narmī se pesh ā.ūñgā lekin vo bhī
apnī palkoñ pe zarā ashk-e-nadāmat rakkhe
us kī ḳhvāhish ke mutābiq hī kiye saare kaam
ab to 'harshit' vo mire haath pe ujrat rakkhe
kuchh to pindar-e-mohabbat ki wo izzat rakkhe
itna mushkil hai ta'alluq to kaho mat rakkhe
ghalatiyan dekh ke chup kyon rahun us ke aage
Tokta hai to wo sunne ki bhi himmat rakkhe
main to manzil ki faqat rah dikha sakta hun
har qadam apne wo apni hi badaulat rakkhe
kaun sunta hai kisi aur ka gham duniya mein
hum ko dekho ki hain sine mein qayamat rakkhe
main isi KHalq ki KHidmat se KHuda pa lunga
aur baiThe raho tum apni ibaadat rakkhe
ye mohabbat hi mujhe qaid na lagne lag jae
ishq ke khel mein itni to suhulat rakkhe
KHud ko jab KHidmat-e-insan ke liye waqf kiya
meri jis shaKHs ko jitni ho zarurat rakkhe
main bhi kuchh narmi se pesh aaunga lekin wo bhi
apni palkon pe zara ashk-e-nadamat rakkhe
us ki KHwahish ke mutabiq hi kiye sare kaam
ab to 'harshit' wo mere hath pe ujrat rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.