kuchh to wafa ka rang ho dast-e-jafa ke sath
kuchh to vafā kā rañg ho dast-e-jafā ke saath
surḳhī mire lahū kī milā lo hinā ke saath
ham vahshiyoñ se hosh kī bāteñ fuzūl haiñ
paivand kyā lagā.eñ darīda-qabā ke saath
sadiyoñ se phir rahā huuñ sukūñ kī talāsh meñ
sadiyoñ kī bāzgasht hai apnī sadā ke saath
parvāz kī umañg na kunj-e-qafas kā rañj
fitrat mirī badal ga.ī āb-o-havā ke saath
kyā pattharoñ ke shahr meñ dūkān-e-shīsha-gar
ik sham.a jal rahī hai ġhazab kī havā ke saath
kuchh to wafa ka rang ho dast-e-jafa ke sath
surKHi mere lahu ki mila lo hina ke sath
hum wahshiyon se hosh ki baaten fuzul hain
paiwand kya lagaen darida-qaba ke sath
sadiyon se phir raha hun sukun ki talash mein
sadiyon ki bazgasht hai apni sada ke sath
parwaz ki umang na kunj-e-qafas ka ranj
fitrat meri badal gai aab-o-hawa ke sath
kya pattharon ke shahr mein dukan-e-shisha-gar
ek shama jal rahi hai ghazab ki hawa ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.