kuchh tum se shikayat thi na duniya se gila tha
kuchh tum se shikāyat thī na duniyā se gila thā
maiñ yūñhī zarā der ko ḳhāmosh huā thā
vo umr-e-gurezāñ ho ki ho terā tasavvur
saa.e kī tarah saath mire koī lagā thā
kyā jāniye kis vāste maslūb huā huuñ
duniyā meñ to bahutoñ ne tirā naam liyā thā
aa jaate na gar sāmne dariyā ke kināre
maiñ hijr-e-musalsal ko tire bhuul chalā thā
vo vaqt bhī guzrā hai ki jiddat ke junūñ meñ
maiñ apnī navāoñ kā galā ghoñT rahā thā
sab bhuul chukā maiñ to tirī yaad kā aalam
ye yaad hai ik bulbula paanī se uThā thā
kyā vo bhī 'sabā' mujh ko na pahchān sakegā
hairat se jo ā.īna mujhe dekh rahā thā
kuchh tum se shikayat thi na duniya se gila tha
main yunhi zara der ko KHamosh hua tha
wo umr-e-gurezan ho ki ho tera tasawwur
sae ki tarah sath mere koi laga tha
kya jaaniye kis waste maslub hua hun
duniya mein to bahuton ne tera nam liya tha
aa jate na gar samne dariya ke kinare
main hijr-e-musalsal ko tere bhul chala tha
wo waqt bhi guzra hai ki jiddat ke junun mein
main apni nawaon ka gala ghonT raha tha
sab bhul chuka main to teri yaad ka aalam
ye yaad hai ek bulbula pani se uTha tha
kya wo bhi 'saba' mujh ko na pahchan sakega
hairat se jo aaina mujhe dekh raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.