kuchh tumhaare to kuchh hamare hue
kuchh tumhāre to kuchh hamāre hue
is mohabbat meñ jo ḳhasāre hue
ham ne tanhā.iyoñ ke saare pal
apne ashkoñ se haiñ sañvāre hue
ab to shiddat se yaad aate haiñ
terī qurbat meñ din guzāre hue
ye to haiñ ashk merī āñkhoñ ke
terī palkoñ pe jo sitāre hue
jab talātum kā sāmnā thā hameñ
duur ham se bahut kināre hue
aaj milnā hai tum ne kis kis se
tum ne gesū bhī haiñ sañvāre hue
uTh ke ham aa ga.e the mahfil se
us kī jānib se jab ishāre hue
kuchh tumhaare to kuchh hamare hue
is mohabbat mein jo KHasare hue
hum ne tanhaiyon ke sare pal
apne ashkon se hain sanware hue
ab to shiddat se yaad aate hain
teri qurbat mein din guzare hue
ye to hain ashk meri aankhon ke
teri palkon pe jo sitare hue
jab talatum ka samna tha hamein
dur hum se bahut kinare hue
aaj milna hai tum ne kis kis se
tum ne gesu bhi hain sanware hue
uTh ke hum aa gae the mahfil se
us ki jaanib se jab ishaare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.