Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh TuTta hai andar bolo main kya karun ab

Chhabi Saksena Sahai Saba

kuchh TuTta hai andar bolo main kya karun ab

Chhabi Saksena Sahai Saba

MORE BYChhabi Saksena Sahai Saba

    kuchh TūTtā hai andar bolo maiñ kyā karūñ ab

    ḳhāmosh hai bavanDar bolo maiñ kyā karūñ ab

    hai ranjishoñ se bhīgī ulfat chāñdnī bhī

    thā chāñd sitamgar bolo maiñ kyā karūñ ab

    vo sāmne se chal kar guzrī bahār kab

    kis samt hai muqaddar bolo maiñ kyā karūñ ab

    maiñ apnī hasratoñ kyoñ rañg na badal duuñ

    tasvīr ho jo abtar bolo maiñ kyā karūñ ab

    kuchh aur hue ham ḳhvāboñ se aa ke bāhar

    ruḳhsat huā fusūñ-gar bolo maiñ kyā karūñ ab

    be-dard hai zamāna anjān āsmāñ hai

    dekho chhupe haiñ ḳhanjar bolo maiñ kyā karūñ ab

    phir aaj us ne mujh ko dekhā hai muskurā kar

    hai hādsa muqarrar bolo maiñ kyā karūñ ab

    sayyād le rahā hai merā imtihāñ qafas meñ

    har din ho jaise mahshar bolo maiñ kyā karūñ ab

    hai ās-pās mere gulshan sajā guloñ se

    chubhte hai laakh nashtar bolo maiñ kyā karūñ ab

    kis ko bulā rahā hai ab intizār terā

    tanhā hai saarā manzar bolo maiñ kyā karūñ ab

    girtī sabā pe aa kar tark-e-vafā bijlī

    go ḳhvāb haiñ mo.attar bolo maiñ kyā karūñ ab

    kuchh TuTta hai andar bolo main kya karun ab

    KHamosh hai bawanDar bolo main kya karun ab

    hai ranjishon se bhigi ulfat ki chandni bhi

    tha chand hi sitamgar bolo main kya karun ab

    wo samne se chal kar guzri bahaar kab ki

    kis samt hai muqaddar bolo main kya karun ab

    main apni hasraton ka kyon rang hi na badal dun

    taswir ho jo abtar bolo main kya karun ab

    kuchh aur hi hue hum KHwabon se aa ke bahar

    ruKHsat hua fusun-gar bolo main kya karun ab

    be-dard hai zamana anjaan aasman hai

    dekho chhupe hain KHanjar bolo main kya karun ab

    phir aaj us ne mujh ko dekha hai muskura kar

    hai hadsa muqarrar bolo main kya karun ab

    sayyaad le raha hai mera imtihan qafas mein

    har din ho jaise mahshar bolo main kya karun ab

    hai aas-pas mere gulshan saja gulon se

    chubhte hai lakh nashtar bolo main kya karun ab

    kis ko bula raha hai ab intizar tera

    tanha hai sara manzar bolo main kya karun ab

    girti saba pe aa kar tark-e-wafa ki bijli

    go KHwab hain moattar bolo main kya karun ab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now