kuchh un ke dil ko lagata hua sa kuchh to hai
kuchh un ke dil ko lagātā huā sā kuchh to hai
ye rāt-rāt jagātā huā sā kuchh to hai
karishma ye tire alfāz kā nahīñ phir bhī
fazā meñ zahr ugātā huā sā kuchh to hai
agar ye maut kā saaya nahīñ to phir kyā hai
qadam-qadam pe bulātā huā sā kuchh to hai
na jaag uThā ho kahīñ biitī 'umr kā lamha
ragoñ meñ shor machātā huā sā kuchh to hai
ta'alluqāt kī ḳhushbū ki rishta-e-māzī
tumhārī bazm se jaatā huā sā kuchh to hai
ik ehtimām-e-ḳhusūsī ke bāvajūd 'ḳhumār'
ye fāsloñ ko baḌhātā huā sā kuchh to hai
kuchh un ke dil ko lagata hua sa kuchh to hai
ye raat-raat jagata hua sa kuchh to hai
karishma ye tere alfaz ka nahin phir bhi
faza mein zahr ugata hua sa kuchh to hai
agar ye maut ka saya nahin to phir kya hai
qadam-qadam pe bulata hua sa kuchh to hai
na jag uTha ho kahin biti 'umr ka lamha
ragon mein shor machata hua sa kuchh to hai
ta'alluqat ki KHushbu ki rishta-e-mazi
tumhaari bazm se jata hua sa kuchh to hai
ek ehtimam-e-KHususi ke bawajud 'KHumar'
ye faslon ko baDhata hua sa kuchh to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.