kuchh wajudi kuchh shuhudi falsafa sansar ka
kuchh vajūdī kuchh shuhūdī falsafa sansār kā
kis qadar dilchasp hai shahkār us fankār kā
ye zamīñ phūloñ kī hai rangoñ kī hai ḳhushbū kī hai
is mohabbat kī zamīñ par kaam kyā talvār kā
ḳhuuñ davātoñ meñ qalam meñ dhaar pahle sī kahāñ
chāplūsī se bharā hai har varaq aḳhbār kā
ab libāsoñ kī numā.ish ho rahī hai har taraf
aadmī kī zaat meñ fuqdān hai kirdār kā
apnī barbādī kā zimma-dār āḳhir kaun hai
ham hī ḳhud haiñ yā ki is meñ haath hai sarkār kā
ham lagā.eñ kis pe tohmat aur kise ilzām deñ
jabki hai kirdār hī mashkūk pahre-dār kā
kuchh wajudi kuchh shuhudi falsafa sansar ka
kis qadar dilchasp hai shahkar us fankar ka
ye zamin phulon ki hai rangon ki hai KHushbu ki hai
is mohabbat ki zamin par kaam kya talwar ka
KHun dawaton mein qalam mein dhaar pahle si kahan
chaplusi se bhara hai har waraq aKHbar ka
ab libason ki numaish ho rahi hai har taraf
aadmi ki zat mein fuqdan hai kirdar ka
apni barbaadi ka zimma-dar aaKHir kaun hai
hum hi KHud hain ya ki is mein hath hai sarkar ka
hum lagaen kis pe tohmat aur kise ilzam den
jabki hai kirdar hi mashkuk pahre-dar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.