kuchh yaad nahin kaise hunar bhul gae hain
kuchh yaad nahīñ kaise hunar bhuul ga.e haiñ
honā thā jinheñ shams-o-qamar bhuul ga.e haiñ
duniyā ke tamāshoñ ne kuchh uljhāyā hai aisā
kab shaam huī kab thī sahar bhuul ga.e haiñ
tum gaañv ke bargad kī ḳhabar pūchh rahe ho
ham apnī du'āoñ kā shajar bhuul ga.e haiñ
tum se koī ummīd kabhī thī na abhī hai
kuufe meñ jo aa.e haiñ to sar bhuul ga.e haiñ
dīvār meñ chunñe pe bhī kuchh log haiñ zinda
maanā ki unheñ ahl-e-nazar bhuul ga.e haiñ
kuchh yaad nahin kaise hunar bhul gae hain
hona tha jinhen shams-o-qamar bhul gae hain
duniya ke tamashon ne kuchh uljhaya hai aisa
kab sham hui kab thi sahar bhul gae hain
tum ganw ke bargad ki KHabar puchh rahe ho
hum apni du'aon ka shajar bhul gae hain
tum se koi ummid kabhi thi na abhi hai
kufe mein jo aae hain to sar bhul gae hain
diwar mein chunne pe bhi kuchh log hain zinda
mana ki unhen ahl-e-nazar bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.