kuchh yahan farq hai apne ka na begane ka
kuchh yahāñ farq hai apne kā na begāne kā
ek dastūr hai har daur meñ maiḳhāne kā
raqs-e-mīnā hai na vo daur hai paimāne kā
in dinoñ haal hī kuchh aur hai maiḳhāne kā
maiñ to har haal meñ jī lūñgā magar jalva-e-dost
bin tire dil nahīñ gosha hai ye vīrāne kā
shohrat-e-ām to hāsil thī par aisī bhī na thī
log unvān banā leñ mujhe afsāne kā
vo gayā vaqt ki jab dil ko na thī ġham se najāt
ye zamāna to hai hañs hañs ke jiye jaane kā
aise kho.e rahe ham rāh-ravī meñ 'azmat'
hosh aaya nahīñ manzil pe Thahar jaane kā
kuchh yahan farq hai apne ka na begane ka
ek dastur hai har daur mein maiKHane ka
raqs-e-mina hai na wo daur hai paimane ka
in dinon haal hi kuchh aur hai maiKHane ka
main to har haal mein ji lunga magar jalwa-e-dost
bin tere dil nahin gosha hai ye virane ka
shohrat-e-am to hasil thi par aisi bhi na thi
log unwan bana len mujhe afsane ka
wo gaya waqt ki jab dil ko na thi gham se najat
ye zamana to hai hans hans ke jiye jaane ka
aise khoe rahe hum rah-rawi mein 'azmat'
hosh aaya nahin manzil pe Thahar jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.