kuchh yaqin rahne diya kuchh wahima rahne diya
kuchh yaqīñ rahne diyā kuchh vāhima rahne diyā
soch kī dīvār meñ ik dar khulā rahne diyā
kashtiyāñ saarī jalā Dālīñ anā kī jañg meñ
maiñ ne bhī kab vāpsī kā rāsta rahne diyā
maiñ ne har ilzām apne sar liyā is shahr meñ
bā-vafā logoñ meñ ḳhud ko bevafā rahne diyā
ek nisbat ek rishta ek hī ghar ke makīñ
vaqt ne donoñ meñ lekin fāsla rahne diyā
jāgtī āñkhoñ meñ kaise ḳhvāb kī ta.abīr thī
umr bhar jis ne kisī ko sochtā rahne diyā
ek saa.e kā ta.āqub kar rahā huuñ aaj tak
ḳhud ko kaisī ibtilā meñ mubtalā rahne diyā
vo mirī rāhoñ meñ dīvāreñ khaḌī kartā rahā
maiñ ne hoñToñ par faqat harf-e-duā rahne diyā
pyaar meñ ab naf.a o nuqsān kā kyā sochnā
kyā diyā us ko aur apne paas kyā rahne diyā
apnī kuchh bāteñ dar-e-iz.hār tak aane na diiñ
band kamre hī meñ dil ko chīḳhtā rahne diyā
phir na dastak de sakā 'āfāq' koī us ke ba.ad
naam us kā dil kī taḳhtī par likhā rahne diyā
kuchh yaqin rahne diya kuchh wahima rahne diya
soch ki diwar mein ek dar khula rahne diya
kashtiyan sari jala Dalin ana ki jang mein
main ne bhi kab wapsi ka rasta rahne diya
main ne har ilzam apne sar liya is shahr mein
ba-wafa logon mein KHud ko bewafa rahne diya
ek nisbat ek rishta ek hi ghar ke makin
waqt ne donon mein lekin fasla rahne diya
jagti aankhon mein kaise KHwab ki tabir thi
umr bhar jis ne kisi ko sochta rahne diya
ek sae ka taaqub kar raha hun aaj tak
KHud ko kaisi ibtila mein mubtala rahne diya
wo meri rahon mein diwaren khaDi karta raha
main ne honTon par faqat harf-e-dua rahne diya
pyar mein ab nafa o nuqsan ka kya sochna
kya diya us ko aur apne pas kya rahne diya
apni kuchh baaten dar-e-izhaar tak aane na din
band kamre hi mein dil ko chiKHta rahne diya
phir na dastak de saka 'afaq' koi us ke baad
nam us ka dil ki taKHti par likha rahne diya
- Book : Pakistani Adab (Pg. 496)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.