kuchh yun bhi mujhe ras hain tanhaiyan apni
kuchh yuuñ bhī mujhe raas haiñ tanhā.iyāñ apnī
rahtī haiñ jilau meñ mire parchhā.iyāñ apnī
mash.hūr yahī log kabhī ahl-e-nazar the!
ab DhūñDte phirte haiñ jo bīnā.iyāñ apnī
apnā hī sahārā thā sar-e-ma.arka-e-zāt
kis kaam kī thiiñ varna saf-ārā.iyāñ apnī
maiñ aur bhare shahr meñ is tarah akelā!
vo sauñp gayā hai mujhe tanhā.iyāñ apnī
lau tum ne charāġhoñ kī baḌhā.ī to hai 'rāshid'
ghere meñ na le leñ tumheñ parchhā.iyāñ apnī
kuchh yun bhi mujhe ras hain tanhaiyan apni
rahti hain jilau mein mere parchhaiyan apni
mashhur yahi log kabhi ahl-e-nazar the!
ab DhunDte phirte hain jo binaiyan apni
apna hi sahaara tha sar-e-marka-e-zat
kis kaam ki thin warna saf-araiyan apni
main aur bhare shahr mein is tarah akela!
wo saunp gaya hai mujhe tanhaiyan apni
lau tum ne charaghon ki baDhai to hai 'rashid'
ghere mein na le len tumhein parchhaiyan apni
- Book : Monthly Usloob (Pg. 389)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.