kuchh yun main apne aap se kaTta chala gaya
kuchh yuuñ maiñ apne aap se kaTtā chalā gayā
bas ḳhāl-o-ḳhad se rah ga.e chehra chalā gayā
afsāna mere jehd kā itnā sā thā ki maiñ
andesha-e-yaqīn se laḌtā chalā gayā
aaya nahīñ palaT ke ujālā kabhī yahāñ
hālāñki ghar se kab kā añdherā chalā gayā
bhauñre niDar the koh-e-haqīqat se jā laḌe
maiñ sāya-e-sarāb se Dartā chalā gayā
jis jā kiyā zarā sā kabhī niyyat-e-qiyām
us jā ke peḌ peḌ kā saaya chalā gayā
ik lau kā rūd-ḳhāna-e-muztar sā huuñ magar
chup-chāp dasht-e-karb meñ bahtā chalā gayā
yuuñ mubtalā-e-ḳhauf thā mujh se adū mirā
lāshe pe mere tiir chalātā chalā gayā
duniyā ulajh ke rah ga.ī hirs-o-havas ke gird
'mansūr' kaif-e-vajd meñ chaltā chalā gayā
kuchh yun main apne aap se kaTta chala gaya
bas KHal-o-KHad se rah gae chehra chala gaya
afsana mere jehd ka itna sa tha ki main
andesha-e-yaqin se laDta chala gaya
aaya nahin palaT ke ujala kabhi yahan
haalanki ghar se kab ka andhera chala gaya
bhaunre niDar the koh-e-haqiqat se ja laDe
main saya-e-sarab se Darta chala gaya
jis ja kiya zara sa kabhi niyyat-e-qiyam
us ja ke peD peD ka saya chala gaya
ek lau ka rud-KHana-e-muztar sa hun magar
chup-chap dasht-e-karb mein bahta chala gaya
yun mubtala-e-KHauf tha mujh se adu mera
lashe pe mere tir chalata chala gaya
duniya ulajh ke rah gai hirs-o-hawas ke gird
'mansur' kaif-e-wajd mein chalta chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.