kuchh zabt kiya hai to kabhi dil mein Thani hai
kuchh zabt kiyā hai to kabhī dil meñ Thanī hai
mardān-e-sitam-pesha se kab baat banī hai
kuchh kahne pe aa jā.ūñ to kyā kah nahīñ saktā
had-darja pur-asrār mirī kam-suḳhanī hai
achchhā hai na ḳhātir meñ mujhe laa.e zamāna
kirdār-shikan maiñ huuñ na ḳhush-pairahanī hai
mumkin nahīñ duniyā meñ har ik qalb kī tasḳhīr
logoñ kī nigāhoñ meñ ye ḳhātir-shikanī hai
tum merī pareshān-ḳhayālī pe na jaao
har chand pur-afgār sahī dil to ġhanī hai
āsār nazar aate haiñ vahshat-zadagī ke
kahne ko ye ābādī ba-tadrīj ghanī hai
huuñ ḳhūgar-e-idrāk qadam kis se milā.ūñ
'hāmid' mire hisse meñ faqat saf-shikanī hai
kuchh zabt kiya hai to kabhi dil mein Thani hai
mardan-e-sitam-pesha se kab baat bani hai
kuchh kahne pe aa jaun to kya kah nahin sakta
had-darja pur-asrar meri kam-suKHani hai
achchha hai na KHatir mein mujhe lae zamana
kirdar-shikan main hun na KHush-pairahani hai
mumkin nahin duniya mein har ek qalb ki tasKHir
logon ki nigahon mein ye KHatir-shikani hai
tum meri pareshan-KHayali pe na jao
har chand pur-afgar sahi dil to ghani hai
aasar nazar aate hain wahshat-zadagi ke
kahne ko ye aabaadi ba-tadrij ghani hai
hun KHugar-e-idrak qadam kis se milaun
'hamid' mere hisse mein faqat saf-shikani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.