kuchh zamin ki bhi KHalaon mein nishani rakhna
kuchh zamīñ kī bhī ḳhalāoñ meñ nishānī rakhnā
naav paanī meñ nahīñ naav meñ paanī rakhnā
be-sadā galiyoñ kā ahvāl sunāne vaalo
ab zabāñ par nahīñ chehra pe kahānī rakhnā
phuul kyā ek dabistāñ thā sikhāyā jis ne
dil meñ sho.aloñ kī lapak aañkh meñ paanī rakhnā
alganī TuuT ke iz.hār kī gir jā.egī
apne hoñToñ pe takallum kī girānī rakhnā
purze kāġhaz ke havāoñ meñ uḌā karte haiñ
koī paiġhām ho merā to zabānī rakhnā
kuchh zamin ki bhi KHalaon mein nishani rakhna
naw pani mein nahin naw mein pani rakhna
be-sada galiyon ka ahwal sunane walo
ab zaban par nahin chehra pe kahani rakhna
phul kya ek dabistan tha sikhaya jis ne
dil mein shoalon ki lapak aankh mein pani rakhna
algani TuT ke izhaar ki gir jaegi
apne honTon pe takallum ki girani rakhna
purze kaghaz ke hawaon mein uDa karte hain
koi paigham ho mera to zabani rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.