kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh
kuchh zindagī meñ ishq-o-vafā kā hunar bhī rakh
rishta ḳhushī se joḌ ġham-e-mo'tabar meñ rakh
shahroñ meñ zindagī kā safar ab muhāl hai
behtar to ye hai sahrā pe apnī nazar bhī rakh
duniyā ke hādsāt se bhī rakh tū vāsta
hālāt ghar ke kaise haiñ is kī ḳhabar bhī rakh
talvār hī se fat.h to miltī nahīñ kabhī
nādān pahle apnī hathelī pe sar bhī rakh
ummīd us ke rahm-o-karam kī bhī rakh zarūr
dāman ko apne ashk-e-nadāmat se tar bhī rakh
gar zindagī meñ chāhtā hai sar-bulandiyāñ
pahle kisī faqīr ke qadmoñ pe sar bhī rakh
gar aarzū hai tujh ko mile manzil-e-hayāt
is aarzū meñ ḳhud ko to mahv-e-safar bhī rakh
is dilkashī meñ chāñd kī ḳhud ko na bhuul jā
apnī nazar meñ jalva-e-shaqqul-qamar bhī rakh
shāhoñ ke dar pe jaane se maiñ roktā nahīñ
lekin tū ḳhānqāhoñ meñ apnā guzar bhī rakh
dānoñ ke vāste tū zamīñ par bhī aa 'azīz'
har-chand āsmānoñ pe tū apnā ghar bhī rakh
kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh
rishta KHushi se joD gham-e-mo'tabar mein rakh
shahron mein zindagi ka safar ab muhaal hai
behtar to ye hai sahra pe apni nazar bhi rakh
duniya ke hadsat se bhi rakh tu wasta
haalat ghar ke kaise hain is ki KHabar bhi rakh
talwar hi se fath to milti nahin kabhi
nadan pahle apni hatheli pe sar bhi rakh
ummid us ke rahm-o-karam ki bhi rakh zarur
daman ko apne ashk-e-nadamat se tar bhi rakh
gar zindagi mein chahta hai sar-bulandiyan
pahle kisi faqir ke qadmon pe sar bhi rakh
gar aarzu hai tujh ko mile manzil-e-hayat
is aarzu mein KHud ko to mahw-e-safar bhi rakh
is dilkashi mein chand ki KHud ko na bhul ja
apni nazar mein jalwa-e-shaqqul-qamar bhi rakh
shahon ke dar pe jaane se main rokta nahin
lekin tu KHanqahon mein apna guzar bhi rakh
danon ke waste tu zamin par bhi aa 'aziz'
har-chand aasmanon pe tu apna ghar bhi rakh
- Book : Bole Meri Gazal (Pg. 53)
- Author : Aziz Ansari
- Publication : Aziz Ansari, Station Director Akashvani Jalgaon (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.