kuchla kiye hain kitne hi lashkar zamin ko
kuchlā kiye haiñ kitne hī lashkar zamīn ko
aise kiyā gayā hai barābar zamīn ko
maiñ ne bhī sair kī hai kabhī āsmān kī
maiñ jāntā huuñ dasht samundar zamīn ko
pairoñ se dhīre dhīre khisakne lagī hai ab
kab tak rakhūñ maiñ yaar pakaḌ kar zamīn ko
jab bhī thakan se chuur huā so gayā huuñ maiñ
chādar falak ko maan ke bistar zamīn ko
mujh ko libās-e-rūh alag se 'atā huā
dafnā diyā gayā mire andar zamīn ko
pātāl meñ paḌā huuñ magar pur-sukūn huuñ
maiñ jhāñktā rahā huuñ uchhal kar zamīn ko
daldal ko paar karnā hai 'ārif' aur us ke baa'd
rakh deñge tere sāmne lā kar zamīn ko
kuchla kiye hain kitne hi lashkar zamin ko
aise kiya gaya hai barabar zamin ko
main ne bhi sair ki hai kabhi aasman ki
main jaanta hun dasht samundar zamin ko
pairon se dhire dhire khisakne lagi hai ab
kab tak rakhun main yar pakaD kar zamin ko
jab bhi thakan se chur hua so gaya hun main
chadar falak ko man ke bistar zamin ko
mujh ko libas-e-ruh alag se 'ata hua
dafna diya gaya mere andar zamin ko
patal mein paDa hun magar pur-sukun hun
main jhankta raha hun uchhal kar zamin ko
daldal ko par karna hai 'arif' aur us ke ba'd
rakh denge tere samne la kar zamin ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.