kudurat baDh ke aaKHir ko nikalti hai fughan ho kar
kudūrat baḌh ke āḳhir ko nikaltī hai fuġhāñ ho kar
zamīñ ye sar par aa jaatī hai ik din āsmāñ ho kar
mire naqsh-e-qadam ne raah meñ kāñTe bichhā.e haiñ
batā.eñ to vo ghar ġhairoñ ke jā.eñge kahāñ ho kar
ḳhudā se sar-kashī kī pīr-e-zāhid is qadar tū ne
ki terā tiir sā qad ho gayā hai ab kamāñ ho kar
koī pūchhe ki mayyat kā bhī tum kuchh saath dete ho
ye aa.e marsiya le kar vo aa.e nauha-ḳhvāñ ho kar
irāda pīr-e-zāhid se hai ab turkī-ba-turkī kā
kisī bhaTTī pe jā baiThūñgā maiñ pīr-e-muġhāñ ho kar
talāsh-e-yār kyā aur sair kyā ai ham-nashīñ ham to
chale aur ghar chale aa.e yahāñ ho kar vahāñ ho kar
'suḳhan' kī bazm meñ 'nādir' usī ke sar pe sehrā hai
rahā jo ham-navā-e-bulbul-e-hindostāñ ho kar
kudurat baDh ke aaKHir ko nikalti hai fughan ho kar
zamin ye sar par aa jati hai ek din aasman ho kar
mere naqsh-e-qadam ne rah mein kanTe bichhae hain
bataen to wo ghar ghairon ke jaenge kahan ho kar
KHuda se sar-kashi ki pir-e-zahid is qadar tu ne
ki tera tir sa qad ho gaya hai ab kaman ho kar
koi puchhe ki mayyat ka bhi tum kuchh sath dete ho
ye aae marsiya le kar wo aae nauha-KHwan ho kar
irada pir-e-zahid se hai ab turki-ba-turki ka
kisi bhaTTi pe ja baiThunga main pir-e-mughan ho kar
talash-e-yar kya aur sair kya ai ham-nashin hum to
chale aur ghar chale aae yahan ho kar wahan ho kar
'suKHan' ki bazm mein 'nadir' usi ke sar pe sehra hai
raha jo ham-nawa-e-bulbul-e-hindostan ho kar
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 125)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.