Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kufr-o-iman donon se ta-waqt-e-aKHir kaam tha

Shaheer Machlishahri

kufr-o-iman donon se ta-waqt-e-aKHir kaam tha

Shaheer Machlishahri

MORE BYShaheer Machlishahri

    kufr-o-īmāñ donoñ se tā-vaqt-e-āḳhir kaam thā

    dil meñ thī yād-e-butāñ lab par ḳhudā naam thā

    jis miTnā ġhair mumkin jis sunñā nā-guzīr

    vo ajal vaqt thā vo maut paiġhām thā

    be-ḳhudī meñ hote kyā ism-o-musammā āshnā

    naam se begāna maiñ begāna mujh se naam thā

    le sabr-āzmāoñ se shakebā.ī daad

    ai kamāl-e-sabr kyā kahnā ye terā kaam thā

    ho ga.ī thiiñ jam.a duniyā bhar āḳhir hasrateñ

    ik jahān-e-ārzū merā dil-e-nākām thā

    arz-e-matlab ke liye ḳhud thī mirī sūrat savāl

    aap paiġhāmbar thā aap paiġhām thā

    kufr-o-iman donon se ta-waqt-e-aKHir kaam tha

    dil mein thi yaad-e-butan lab par KHuda ka nam tha

    jis ka miTna ghair mumkin jis ka sunna na-guzir

    wo ajal ka waqt tha wo maut ka paigham tha

    be-KHudi mein hote kya ism-o-musamma aashna

    nam se begana main begana mujh se nam tha

    le hi li sabr-azmaon se shakebai ki dad

    ai kamal-e-sabr kya kahna ye tera kaam tha

    ho gai thin jama duniya bhar ki aaKHir hasraten

    ek jahan-e-arzu mera dil-e-nakaam tha

    arz-e-matlab ke liye KHud thi meri surat sawal

    aap hi paighambar tha aap hi paigham tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now