kufr se kuchh kaam hai hum ko na iman se gharaz
kufr se kuchh kaam hai hum ko na iman se gharaz
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
kufr se kuchh kaam hai ham ko na īmāñ se ġharaz
hai to bas apnī ḳhayālāt-e-pareshāñ se ġharaz
josh-e-vahshat meñ nahīñ sair-e-gulistāñ se ġharaz
hai mire dast-e-junūñ ko jeb-o-dāmāñ se ġharaz
qaid se taḳhsīs kī āzād hai saudā-e-ishq
ham ko matlab hai bayābāñ se na zindāñ se ġharaz
mashġhala achchhā hujūm-e-ġham meñ haath aaya mire
kaam hai lab ko fuġhāñ se dil ko hirmāñ se ġharaz
ai havā-e-jazb-e-dil imdād karnā chāhiye
misr vāloñ ko nahīñ hai pīr-e-kan.āñ se ġharaz
aish-o-ishrat se jinheñ dam-bhar ko bhī fursat nahīñ
ḳhaak ho un ko mire hāl-e-pareshāñ se ġharaz
munhasir jab maut par kambaḳht kī hai zindagī
ho marīz-e-ġham ko terī ḳhāk-e-darmāñ se ġharaz
āshiqoñ kā maz.hab-o-millat judā īmāñ judā
sab se begāne haiñ kyā gabr-o-musalmāñ se ġharaz
kaam sehat se na hai kuchh chārāgar kī ehtiyāj
lazzat-e-zaḳhm-e-jigar ko hai namak-dāñ se ġharaz
bahr-e-ālam meñ pahuñchnā tā-ba-sāhil hai zarūr
kashtī-e-umr-e-ravāñ ko kab hai tūfāñ se ġharaz
kūcha-e-jānāñ mayassar ham ko ho 'mas.ūd' agar
chhoḌ kar us ko na rakkheñ bāġh-e-rizvāñ se ġharaz
kufr se kuchh kaam hai hum ko na iman se gharaz
hai to bas apni KHayalat-e-pareshan se gharaz
josh-e-wahshat mein nahin sair-e-gulistan se gharaz
hai mere dast-e-junun ko jeb-o-daman se gharaz
qaid se taKHsis ki aazad hai sauda-e-ishq
hum ko matlab hai bayaban se na zindan se gharaz
mashghala achchha hujum-e-gham mein hath aaya mere
kaam hai lab ko fughan se dil ko hirman se gharaz
ai hawa-e-jazb-e-dil imdad karna chahiye
misr walon ko nahin hai pir-e-kanan se gharaz
aish-o-ishrat se jinhen dam-bhar ko bhi fursat nahin
KHak ho un ko mere haal-e-pareshan se gharaz
munhasir jab maut par kambaKHt ki hai zindagi
ho mariz-e-gham ko teri KHak-e-darman se gharaz
aashiqon ka mazhab-o-millat juda iman juda
sab se begane hain kya gabr-o-musalman se gharaz
kaam sehat se na hai kuchh chaaragar ki ehtiyaj
lazzat-e-zaKHm-e-jigar ko hai namak-dan se gharaz
bahr-e-alam mein pahunchna ta-ba-sahil hai zarur
kashti-e-umr-e-rawan ko kab hai tufan se gharaz
kucha-e-jaanan mayassar hum ko ho 'masud' agar
chhoD kar us ko na rakkhen bagh-e-rizwan se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.