kulah-e-kaj badal jati hai ya afsar badalta hai
kulāh-e-kaj badal jaatī hai yā afsar badaltā hai
abhī khultā nahīñ kyā vaqt kā tevar badaltā hai
ye dekhā hai ki mehvar istavā uupar badaltā hai
falak sadiyoñ purānī nīlgūñ chādar badaltā hai
diloñ meñ soz-e-ġham vaale dhueñ bhī ārzūeñ bhī
ajam vaalā musalmāñ har sadī meñ ghar badaltā hai
nishāñ-karda gharoñ ko chhoḌ bhāge ghar jo lauTe haiñ
to dekhā pichhlī shab dahlīz kā number badaltā hai
har ik fir.aun ke ahvāl-e-ġharqābī judāgāna
kabhī dariyā badaltā hai kabhī lashkar badaltā hai
zamāna ehtirāman ghuum jaatā hai usī jānib
jo achchhā.ī ko ik insān rattī bhar badaltā hai
ham ab maġhrib ke dast-āmoz duniyā ko nahīñ lagte
ug aa.eñ bāl-o-par apne to bāl-o-par badaltā hai
koī darvāza bhītar kī taraf khultā nahīñ 'ehsāñ'
vahī andar kī kālak hai faqat bāhar badaltā hai
kulah-e-kaj badal jati hai ya afsar badalta hai
abhi khulta nahin kya waqt ka tewar badalta hai
ye dekha hai ki mehwar istawa upar badalta hai
falak sadiyon purani nilgun chadar badalta hai
dilon mein soz-e-gham wale dhuen bhi aarzuen bhi
ajam wala musalman har sadi mein ghar badalta hai
nishan-karda gharon ko chhoD bhage ghar jo lauTe hain
to dekha pichhli shab dahliz ka number badalta hai
har ek firaun ke ahwal-e-gharqabi judagana
kabhi dariya badalta hai kabhi lashkar badalta hai
zamana ehtiraman ghum jata hai usi jaanib
jo achchhai ko ek insan ratti bhar badalta hai
hum ab maghrib ke dast-amoz duniya ko nahin lagte
ug aaen baal-o-par apne to baal-o-par badalta hai
koi darwaza bhitar ki taraf khulta nahin 'ehsan'
wahi andar ki kalak hai faqat bahar badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.