kunj-e-dil mein hai jo malal uchhaal
kunj-e-dil meñ hai jo malāl uchhāl
raushnī ke kañval uchhāl uchhāl
Dhaal tū apne mahr-o-māh-o-nujūm
din uchhāl apne māh-o-sāl uchhāl
be-sipar hai ye merī tanhā.ī
ai mirī jaan apnī Dhaal uchhāl
apnī āsūdgī-e-jāñ ke liye
mere hisse meñ kuchh vabāl uchhāl
ho koī sher sher-e-shor-añgez
fikr koī koī ḳhayāl uchhāl
jo tujhe ḳhud se munfarid kar de
kuchh to aisī na.ī misāl uchhāl
aa.egā phir koī javāb us kā
to fazā meñ koī savāl uchhāl
ḳhauf aane lagā 'kamāl' se ab
mere hisse meñ kuchh zavāl uchhāl
kunj-e-dil mein hai jo malal uchhaal
raushni ke kanwal uchhaal uchhaal
Dhaal tu apne mahr-o-mah-o-nujum
din uchhaal apne mah-o-sal uchhaal
be-sipar hai ye meri tanhai
ai meri jaan apni Dhaal uchhaal
apni aasudgi-e-jaan ke liye
mere hisse mein kuchh wabaal uchhaal
ho koi sher sher-e-shor-angez
fikr koi koi KHayal uchhaal
jo tujhe KHud se munfarid kar de
kuchh to aisi nai misal uchhaal
aaega phir koi jawab us ka
to faza mein koi sawal uchhaal
KHauf aane laga 'kamal' se ab
mere hisse mein kuchh zawal uchhaal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.