kurra-e-nur ka bashinda mujhe dekhta hai
kurra-e-nūr kā bāshinda mujhe dekhtā hai
sub.h-e-nauroz huuñ joinda mujhe dekhtā hai
us kī duniyā se kisī taur nahīñ bantī mirī
aur vo hai ki numā.inda mujhe dekhtā hai
mujh ko āhang-o-tavāzun ke hunar aate haiñ
raqs kartā huuñ to sāzinda mujhe dekhtā hai
maiñ huuñ taslīm ke raste meñ baġhāvat kā charāġh
zulm har taaq meñ tābinda mujhe dekhtā hai
ishq huuñ aur numū kartī huī ḳhaak se huuñ
ya.anī har shaḳhs hī ā.inda mujhe dekhtā hai
merī tārīḳh kā māḳhaz mirī dānā.ī hai
vaqt har daur meñ pā.inda mujhe dekhtā hai
maiñ ne tahzīb kī miTTī meñ yaqīñ boyā thā
phuul khilte haiñ to kārinda mujhe dekhtā hai
apnī dānist meñ chūmā thā koī āb-fishār
chashmak-e-nam se vo sharminda mujhe dekhtā hai
kis ne māhaul pe chhiḌkā hai mirā sabr 'munīr'
mar bhī jā.ūñ to jahāñ zinda mujhe dekhtā hai
kurra-e-nur ka bashinda mujhe dekhta hai
subh-e-nauroz hun joinda mujhe dekhta hai
us ki duniya se kisi taur nahin banti meri
aur wo hai ki numainda mujhe dekhta hai
mujh ko aahang-o-tawazun ke hunar aate hain
raqs karta hun to sazinda mujhe dekhta hai
main hun taslim ke raste mein baghawat ka charagh
zulm har taq mein tabinda mujhe dekhta hai
ishq hun aur numu karti hui KHak se hun
yani har shaKHs hi aainda mujhe dekhta hai
meri tariKH ka maKHaz meri danai hai
waqt har daur mein painda mujhe dekhta hai
main ne tahzib ki miTTi mein yaqin boya tha
phul khilte hain to karinda mujhe dekhta hai
apni danist mein chuma tha koi aab-fishaar
chashmak-e-nam se wo sharminda mujhe dekhta hai
kis ne mahaul pe chhiDka hai mera sabr 'munir'
mar bhi jaun to jahan zinda mujhe dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.