kushad zehn-o-dil-o-gosh ki zarurat hai
kushād zehn-o-dil-o-gosh kī zarūrat hai
ye zindagī hai yahāñ hosh kī zarūrat hai
sunā.ī degī yaqīnan zamīr kī āvāz
muḳhātibīn-e-subuk-gosh kī zarūrat hai
ab ehtiyāj nahīñ sarv-qāmatoñ kī mujhe
mujhe to ab kisī ham-dosh kī zarūrat hai
ḳharosh-e-ḳhum kā bharam kholnā hai kyā mushkil
bas ek rind-e-balā-nosh kī zarūrat hai
nigār-e-sub.h ke aañsū sameTne ke liye
guloñ ko vus.at-e-āġhosh kī zarūrat hai
kahīñ faqat mutakallim sukūt kī hājat
kahīñ takallum-e-ḳhāmosh kī zarūrat hai
kushad zehn-o-dil-o-gosh ki zarurat hai
ye zindagi hai yahan hosh ki zarurat hai
sunai degi yaqinan zamir ki aawaz
muKHatibin-e-subuk-gosh ki zarurat hai
ab ehtiyaj nahin sarw-qamaton ki mujhe
mujhe to ab kisi ham-dosh ki zarurat hai
KHarosh-e-KHum ka bharam kholna hai kya mushkil
bas ek rind-e-bala-nosh ki zarurat hai
nigar-e-subh ke aansu sameTne ke liye
gulon ko wusat-e-aghosh ki zarurat hai
kahin faqat mutakallim sukut ki hajat
kahin takallum-e-KHamosh ki zarurat hai
- Book : Aqleem (Pg. 53)
- Author : Jafar Baloch
- Publication : Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.