kushtagan-e-gardish-e-ayyam hona tha hue
kushtagan-e-gardish-e-ayyam hona tha hue
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
kushtagān-e-gardish-e-ayyām honā thā hue
gum the ham ḳhvāboñ meñ jo anjām honā thā hue
har fasād-e-nau pe ik qānūn-e-nau bantā gayā
phir bhī sub.h-o-shām qatl-e-ām honā thā hue
apnī laash apne hī kāñdhoñ par liye ham umar bhar
ham-safar hālāt ke har gaam honā thā hue
zulmatoñ ne raat kī māñge lahū ke phir charāġh
phir ujāloñ ko hamāre naam honā thā hue
thā bapā har shahr meñ hangāma-e-zāġh-o-zaġhan
aur ham shāhīn zer-e-dām honā thā hue
is sitam-ījād kī har tarz-e-nau par jaan dī
phir bhī zer-e-ḳhanjar-e-dushnām honā thā hue
aabrū ham ne baḌhā.ī sham.a kī shohrat bhī dī
ham se parvāne magar gumnām honā thā hue
ab to maa.il hai numā.ish par mizāj-e-husn bhī
ahl-e-dil ko ishq meñ nākām honā thā hue
ek mīThā zahr jaise pyaar thā us kā 'kalīm'
jāñ-ba-lab jām-e-lab-e-gulfām honā thā hue
kushtagan-e-gardish-e-ayyam hona tha hue
gum the hum KHwabon mein jo anjam hona tha hue
har fasad-e-nau pe ek qanun-e-nau banta gaya
phir bhi subh-o-sham qatl-e-am hona tha hue
apni lash apne hi kandhon par liye hum umar bhar
ham-safar haalat ke har gam hona tha hue
zulmaton ne raat ki mange lahu ke phir charagh
phir ujalon ko hamare nam hona tha hue
tha bapa har shahr mein hangama-e-zagh-o-zaghan
aur hum shahin zer-e-dam hona tha hue
is sitam-ijad ki har tarz-e-nau par jaan di
phir bhi zer-e-KHanjar-e-dushnam hona tha hue
aabru hum ne baDhai shama ki shohrat bhi di
hum se parwane magar gumnam hona tha hue
ab to mail hai numaish par mizaj-e-husn bhi
ahl-e-dil ko ishq mein nakaam hona tha hue
ek miTha zahr jaise pyar tha us ka 'kalim'
jaan-ba-lab jam-e-lab-e-gulfam hona tha hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.