kushtgan-e-ishq ko furqat mein kab aati hai nind
kushtgan-e-ishq ko furqat mein kab aati hai nind
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
kushtgān-e-ishq ko furqat meñ kab aatī hai niiñd
un ke āh-o-giryāñ se dar-asl ghabrātī hai niiñd
is liye maiñ niiñd ko har dam hī rakhtā huuñ aziiz
ḳhvāb meñ bichhḌe huoñ ko khīñch kar laatī hai niiñd
jab tasavvur meñ kabhī bhūle se aa jaate haiñ vo
kuchh sukūñ miltā hai mujh ko aur aa jaatī hai niiñd
uf shab-e-va.ada meñ ik aisī bhī aatī hai ghaḌī
niiñd se Dartā huuñ maiñ aur mujh se Dar jaatī hai niiñd
kyā batā.ūñ niiñd kā 'nayyar' tumheñ lutf-o-karam
ḳhvāb meñ un ke na.e andāz dikhlātī hai niiñd
kushtgan-e-ishq ko furqat mein kab aati hai nind
un ke aah-o-giryan se dar-asl ghabraati hai nind
is liye main nind ko har dam hi rakhta hun aziz
KHwab mein bichhDe huon ko khinch kar lati hai nind
jab tasawwur mein kabhi bhule se aa jate hain wo
kuchh sukun milta hai mujh ko aur aa jati hai nind
uf shab-e-wada mein ek aisi bhi aati hai ghaDi
nind se Darta hun main aur mujh se Dar jati hai nind
kya bataun nind ka 'nayyar' tumhein lutf-o-karam
KHwab mein un ke nae andaz dikhlati hai nind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.