kutar gaya hai meri umr ki kitab koi
kutar gayā hai mirī umr kī kitāb koī
milā kahīñ se bhī sālim na aaj baab koī
bhaTaktī raahī huuñ pahoñchoñ kahāñ se manzil par
ye jurm vo hai ki jis kā nahīñ hisāb koī
maiñ DhūñDhtī rahī sahrā meñ raat ke lekin
kahīñ milā hī nahīñ niiñd kā gulāb koī
nagar meñ aur bhī kitne haiñ bad-nasīb magar
mire bhī jaisā na ho ḳhānumāñ-ḳharāb koī
kabhī zamāna nahīñ hotā is qadar be-rahm
ḳhudā ke ghar se 'ġhazāla' milā azaab koī
kutar gaya hai meri umr ki kitab koi
mila kahin se bhi salim na aaj bab koi
bhaTakti rahi hun pahonchon kahan se manzil par
ye jurm wo hai ki jis ka nahin hisab koi
main DhunDhti rahi sahra mein raat ke lekin
kahin mila hi nahin nind ka gulab koi
nagar mein aur bhi kitne hain bad-nasib magar
mere bhi jaisa na ho KHanuman-KHarab koi
kabhi zamana nahin hota is qadar be-rahm
KHuda ke ghar se 'ghazala' mila azab koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.