kucha-e-jaanan mein ja nikle jo ghilman bhul kar
kūcha-e-jānāñ meñ jā nikle jo ġhilmāñ bhuul kar
yaad ho us ko na phir gulzār-e-rizvāñ bhuul kar
sañg-dil be-mehr be-dīñ bevafā samjhe na ham
kar diye sadqe hasīnoñ par dil o jaañ bhuul kar
bosā-e-abrū ko le kar muñh pe khaa.ī ham ne teġh
kuchh kiyā tum ne na pās-e-teġh uryāñ bhuul kar
kar ke tauba qaul hai ab hazrat-e-dil kā yahī
ab kabhī leñge na nām-e-ishq-e-ḳhūbāñ bhuul kar
ḳhuuñ rulāyā umr bhar 'shaukat' firāq-e-yār ne
marte marte bhī na niklā koī armāñ bhuul kar
kucha-e-jaanan mein ja nikle jo ghilman bhul kar
yaad ho us ko na phir gulzar-e-rizwan bhul kar
sang-dil be-mehr be-din bewafa samjhe na hum
kar diye sadqe hasinon par dil o jaan bhul kar
bosa-e-abru ko le kar munh pe khai hum ne tegh
kuchh kiya tum ne na pas-e-tegh uryan bhul kar
kar ke tauba qaul hai ab hazrat-e-dil ka yahi
ab kabhi lenge na nam-e-ishq-e-KHuban bhul kar
KHun rulaya umr bhar 'shaukat' firaq-e-yar ne
marte marte bhi na nikla koi arman bhul kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.