kucha-e-shauq se jab soKHta-jaan guzre hain
kūcha-e-shauq se jab soḳhta-jāñ guzre haiñ
dil pe kyā kyā ġham-o-hasrat ke jahāñ guzre haiñ
pahle hote the hameñ bazm kī raunaq lekin
terī mahfil pe hameñ aaj girāñ guzre haiñ
laakh tārīk sahī ham pe fazā-e-hastī
phir bhī raushan kiye ham mish.al-e-jāñ guzre haiñ
jin se ab kuchh bhī nahīñ tujh ko ta.alluq baaqī
tere kūche se vahī shola-ba-jāñ guzre haiñ
saikḌoñ sham.eñ huiiñ dil meñ hamāre raushan
ham ko kyā kyā tirī furqat meñ gumāñ guzre haiñ
shiddat-e-ishq meñ vo kūcha-navardī kī hai
nahīñ ma.alūm kidhar Thahre kahāñ guzre haiñ
kucha-e-shauq se jab soKHta-jaan guzre hain
dil pe kya kya gham-o-hasrat ke jahan guzre hain
pahle hote the hamein bazm ki raunaq lekin
teri mahfil pe hamein aaj giran guzre hain
lakh tarik sahi hum pe faza-e-hasti
phir bhi raushan kiye hum mishal-e-jaan guzre hain
jin se ab kuchh bhi nahin tujh ko talluq baqi
tere kuche se wahi shola-ba-jaan guzre hain
saikDon shamen huin dil mein hamare raushan
hum ko kya kya teri furqat mein guman guzre hain
shiddat-e-ishq mein wo kucha-nawardi ki hai
nahin malum kidhar Thahre kahan guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.