kucha kucha bhaTak raha hun main
kūcha kūcha bhaTak rahā huuñ maiñ
āsmānoñ ko tak rahā huuñ maiñ
jabki vā'da hai mushk-o-'ambar kā
roTiyāñ kyoñ lapak rahā huuñ maiñ
is muqarrir pe merā saaya hai
guftugū meñ jhalak rahā huuñ maiñ
us ne pūchhā hai ḳhat meñ haal mirā
fitratan phir jhijhak rahā huuñ maiñ
dasht meñ chaar din guzāre haiñ
jugnuoñ sā damak rahā huuñ maiñ
kaun pūchhegā mujh ko mere baa'd
kis kī ḳhātir ye thak rahā huuñ maiñ
ye jo maiñ muskurā ke miltā huuñ
apne girya ko Dhak rahā huuñ maiñ
'dāġh' kahte the kyā ġhazal pyārī
aur misroñ meñ bak rahā huuñ maiñ
kucha kucha bhaTak raha hun main
aasmanon ko tak raha hun main
jabki wa'da hai mushk-o-'ambar ka
roTiyan kyon lapak raha hun main
is muqarrir pe mera saya hai
guftugu mein jhalak raha hun main
us ne puchha hai KHat mein haal mera
fitratan phir jhijhak raha hun main
dasht mein chaar din guzare hain
jugnuon sa damak raha hun main
kaun puchhega mujh ko mere ba'd
kis ki KHatir ye thak raha hun main
ye jo main muskura ke milta hun
apne girya ko Dhak raha hun main
'dagh' kahte the kya ghazal pyari
aur misron mein bak raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.