kucha-o-bazar maqtal ho gae
kūcha-o-bāzār maqtal ho ga.e
dil ke darvāze muqaffal ho ga.e
ruḳh havā kā dekh kar ghar ke charāġh
jal uThe itne ki mash.al ho ga.e
gūñjte alfāz meñ the muḳhtasar
ham ḳhamoshī se mufassal ho ga.e
zindagī kā sab mazā jaatā rahā
mas.ale jitne the sab hal ho ga.e
ham ne fitrat se yahī sīkhā sabaq
saañp jab lipTā to sandal ho ga.e
ibtidā-e-umr meñ sadiyāñ the ham
āḳhirī lamhoñ meñ do pal ho ga.e
kucha-o-bazar maqtal ho gae
dil ke darwaze muqaffal ho gae
ruKH hawa ka dekh kar ghar ke charagh
jal uThe itne ki mashal ho gae
gunjte alfaz mein the muKHtasar
hum KHamoshi se mufassal ho gae
zindagi ka sab maza jata raha
masale jitne the sab hal ho gae
hum ne fitrat se yahi sikha sabaq
sanp jab lipTa to sandal ho gae
ibtida-e-umr mein sadiyan the hum
aaKHiri lamhon mein do pal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.