kuche se nikalwate ho abas hum aise watan-awaron ko
kūche se nikalvāte ho abas ham aise vatan-āvāroñ ko
rahne do paḌe haiñ ek taraf dukh dete ho kyuuñ be-chāroñ ko
rogī jo tumhāre ishq ke haiñ jiite haiñ tumhārī aas pe vo
do chaar dinoñ pe ḳhudā ke liye dekhā to karo bīmāroñ ko
ham-shakl kisī mizhgāñ ke jo the to dil meñ hamāre chubhnā thā
afsos ki ai sahrā-e-junūñ chubhnā bhī na aayā ḳhāroñ ko
har shahr meñ hai sannāTā sā har kūche meñ ḳhaak uḌtī hai
jis din se tire dīvānoñ ne ābād kiyā kohsāroñ ko
thoḌī sī rahī hai raat 'ziyā' kuchh maañg duā.eñ ḳhāliq se
behtar hai isī meñ ho jo sahar phir shaam se ginnā tāroñ ko
kuche se nikalwate ho abas hum aise watan-awaron ko
rahne do paDe hain ek taraf dukh dete ho kyun be-chaaron ko
rogi jo tumhaare ishq ke hain jite hain tumhaari aas pe wo
do chaar dinon pe KHuda ke liye dekha to karo bimaron ko
ham-shakl kisi mizhgan ke jo the to dil mein hamare chubhna tha
afsos ki ai sahra-e-junun chubhna bhi na aaya KHaron ko
har shahr mein hai sannaTa sa har kuche mein KHak uDti hai
jis din se tere diwanon ne aabaad kiya kohsaron ko
thoDi si rahi hai raat 'ziya' kuchh mang duaen KHaliq se
behtar hai isi mein ho jo sahar phir sham se ginna taron ko
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 59)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.