kuza-gar kaun si miTTi se banaya mujhko
kūza-gar kaun sī miTTī se banāyā mujh ko
ishq karne ke sivā kuchh nahīñ aaya mujh ko
us musāfir ko ujāle kī havas thī shāyad
rāt-bhar us ne charāġhoñ sā jalāyā mujh ko
us se kahnā ki abhī rakkhe mirā qarz-e-vafā
yaanī rahne de abhī ḳhud pe baqāyā mujh ko
phal baḌī chiiz hai phuul un ke mayassar na hue
raas aaya na kisī peḌ kā saayā mujh ko
sar pe jab TuuT paḌā mere musībat kā pahāḌ
phir nazar aane lagā apnā-parāyā mujh ko
maiñ gul-e-tāza thā murjhāne se pahle us ne
shāḳh se toḌ ke juuḌe meñ sajāyā mujh ko
ḳhvāb meñ mujh se ġhazal kahtī hai aksar 'dilbar'
sher kahne ke liye us ne banāyā mujh ko
kuza-gar kaun si miTTi se banaya mujh ko
ishq karne ke siwa kuchh nahin aaya mujh ko
us musafir ko ujale ki hawas thi shayad
raat-bhar us ne charaghon sa jalaya mujh ko
us se kahna ki abhi rakkhe mera qarz-e-wafa
yani rahne de abhi KHud pe baqaya mujh ko
phal baDi chiz hai phul un ke mayassar na hue
ras aaya na kisi peD ka saya mujh ko
sar pe jab TuT paDa mere musibat ka pahaD
phir nazar aane laga apna-paraya mujh ko
main gul-e-taza tha murjhane se pahle us ne
shaKH se toD ke juDe mein sajaya mujh ko
KHwab mein mujh se ghazal kahti hai aksar 'dilbar'
sher kahne ke liye us ne banaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.