kuza-gar main tere kis KHwab ka chehra ho jaun
kūza-gar maiñ tire kis ḳhvāb kā chehra ho jā.ūñ
ek hī jism kī mohlat hai maiñ kyā kyā ho jā.ūñ
tujh meñ aur mujh meñ bas ik farq vafā hī kā hai
maiñ agar tark-e-vafā kar duuñ to tujh sā ho jā.ūñ
chaar din qaid meñ rah kar ye tamanna bhī ga.ī
pahle lagtā thā ki ai kaash parinda ho jā.ūñ
mujh ko mere hī añdhere ne chhupā rakkhā hai
jo tirī zaat meñ aa jā.ūñ sitāra ho jā.ūñ
jī lagā rakkhā hai roz ek tamāsha kar ke
ḳhud ko masrūf na rakkhūñ to akelā ho jā.ūñ
sochte sab haiñ kahānī to mukammal ho jaa.e
chāhtā koī nahīñ hai ki maiñ us kā ho jā.ūñ
maiñ to bas ek tasavvur huuñ vahī rahne de
aise bhī soch na mujh ko ki maiñ chehra ho jā.ūñ
sab kī āñkhoñ meñ khaTaktī hai hamārī qurbat
shahr kā shahr lagā hai ki akelā ho jā.ūñ
'ishq meñ saarā kamāl asl meñ furqat kā hai
jo bhī ho jaa.e judā mujh se maiñ us kā ho jā.ūñ
kuza-gar main tere kis KHwab ka chehra ho jaun
ek hi jism ki mohlat hai main kya kya ho jaun
tujh mein aur mujh mein bas ek farq wafa hi ka hai
main agar tark-e-wafa kar dun to tujh sa ho jaun
chaar din qaid mein rah kar ye tamanna bhi gai
pahle lagta tha ki ai kash parinda ho jaun
mujh ko mere hi andhere ne chhupa rakkha hai
jo teri zat mein aa jaun sitara ho jaun
ji laga rakkha hai roz ek tamasha kar ke
KHud ko masruf na rakkhun to akela ho jaun
sochte sab hain kahani to mukammal ho jae
chahta koi nahin hai ki main us ka ho jaun
main to bas ek tasawwur hun wahi rahne de
aise bhi soch na mujh ko ki main chehra ho jaun
sab ki aankhon mein khaTakti hai hamari qurbat
shahr ka shahr laga hai ki akela ho jaun
'ishq mein sara kamal asl mein furqat ka hai
jo bhi ho jae juda mujh se main us ka ho jaun
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 31)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.