kuza-gar ne ajab aahang bana rakkha hai
kūza-gar ne ajab āhang banā rakkhā hai
sirf ik miTTī se har rang banā rakkhā hai
apne bartāv pe duniyā tū zarā dhyān to de
terī vahshat ne mujhe sang banā rakkhā hai
zindagī tujh ko maiñ ash.ār meñ Dhālūñ kaise
qāfiya tū ne bahut tang banā rakkhā hai
daf.atan maarā hai shab-ḳhūn hamāre dil par
yaad ko tum ne to sarhang banā rakkhā hai
iḳhtilāfāt baḌhāne ke liye logoñ ne
kyā kyā afsāna pas-e-jang banā rakkhā hai
jis pe khulte hī nahīñ ḳhud ke ma.ānī ab tak
us ko kuchh logoñ ne farhang banā rakkhā hai
sher 'dilbar' ke to chubh jaate haiñ aksar dil meñ
us ne aulād ko be-Dhang banā rakkhā hai
kuza-gar ne ajab aahang bana rakkha hai
sirf ek miTTi se har rang bana rakkha hai
apne bartaw pe duniya tu zara dhyan to de
teri wahshat ne mujhe sang bana rakkha hai
zindagi tujh ko main ashaar mein Dhaalun kaise
qafiya tu ne bahut tang bana rakkha hai
dafatan mara hai shab-KHun hamare dil par
yaad ko tum ne to sarhang bana rakkha hai
iKHtilafat baDhane ke liye logon ne
kya kya afsana pas-e-jang bana rakkha hai
jis pe khulte hi nahin KHud ke maani ab tak
us ko kuchh logon ne farhang bana rakkha hai
sher 'dilbar' ke to chubh jate hain aksar dil mein
us ne aulad ko be-Dhang bana rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.