kya aag mohabbat ki mere tan mein lagi hai
kyā aag mohabbat kī mire tan meñ lagī hai
dil ḳhaak mirā karke jigar phūñk rahī hai
sunte haiñ taraf-dār-e-butāñ us kī hai sarkār
fariyād-rasī hai na vahāñ dād-rasī hai
kūche meñ mujhe dekh ke kahnā vo kisī kā
badnām kiyā jis ne vo kambaḳht yahī hai
afsos na dil kā hī pata hai na jigar kā
pahlū meñ hamāre na yahī hai na vahī hai
kuchh rahm hasīnān-e-jahāñ ko bhī atā kar
yā-rab tirī sarkār meñ kyā is kī kamī hai
tang aa.e jafā se tirī ham ai but-e-kāfir
khā leñge abhī zahr ki marne kī ḳhushī hai
be-māñge diyā mujh ko talab se bhī ziyāda
ai ḳhāliq o mālik tirī sarkār ġhanī hai
ab ātish-e-dozaḳh kā nahīñ ḳhauf mujhe kuchh
āñkhoñ meñ mirī ashk-e-nadāmat kī tarī hai
kyā sog meñ dushman ke huī aap kī hālat
hoñToñ pe na hai paan kī rangat na misī hai
vo mujh ko satāte haiñ to kahtā huuñ maiñ 'sābir'
but darpa.e-āzār haiñ allāh tū hī hai
kya aag mohabbat ki mere tan mein lagi hai
dil KHak mera karke jigar phunk rahi hai
sunte hain taraf-dar-e-butan us ki hai sarkar
fariyaad-rasi hai na wahan dad-rasi hai
kuche mein mujhe dekh ke kahna wo kisi ka
badnam kiya jis ne wo kambaKHt yahi hai
afsos na dil ka hi pata hai na jigar ka
pahlu mein hamare na yahi hai na wahi hai
kuchh rahm hasinan-e-jahan ko bhi ata kar
ya-rab teri sarkar mein kya is ki kami hai
tang aae jafa se teri hum ai but-e-kafir
kha lenge abhi zahr ki marne ki KHushi hai
be-mange diya mujh ko talab se bhi ziyaada
ai KHaliq o malik teri sarkar ghani hai
ab aatish-e-dozaKH ka nahin KHauf mujhe kuchh
aankhon mein meri ashk-e-nadamat ki tari hai
kya sog mein dushman ke hui aap ki haalat
honTon pe na hai pan ki rangat na misi hai
wo mujh ko satate hain to kahta hun main 'sabir'
but darpae-azar hain allah tu hi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.