kya aankh milaoge tum dekhne walon se
kyā aañkh milāoge tum dekhne vāloñ se
rahte ho añdheroñ meñ Darte ho ujāloñ se
bikhrī huī zulfeñ haiñ yā 'mīr' kī ġhazleñ haiñ
qadr in kī koī pūchhe āshufta-ḳhayāloñ se
kis pyaar se milte haiñ nāqūs-o-azāñ donoñ
kis janm kā naatā hai masjid kā shivāloñ se
islām masīhā.ī rabbī-arinī giitā
kyā kuchh nahīñ paayā hai duniyā ne gavāloñ se
do buuñd hī kaam aa.iiñ tapte hue sahrā kī
kuchh aañkh se Tapkā do kuchh paañv ke chhāloñ se
'fayyāz' vo pūchheñ to taklīf tujhe kyā hai
ham deñge javāb un ko kuchh aur savāloñ se
kya aankh milaoge tum dekhne walon se
rahte ho andheron mein Darte ho ujalon se
bikhri hui zulfen hain ya 'mir' ki ghazlen hain
qadr in ki koi puchhe aashufta-KHayalon se
kis pyar se milte hain naqus-o-azan donon
kis janm ka nata hai masjid ka shiwalon se
islam masihai rabbi-arini gita
kya kuchh nahin paya hai duniya ne gawalon se
do bund hi kaam aain tapte hue sahra ki
kuchh aankh se Tapka do kuchh panw ke chhaalon se
'fayyaz' wo puchhen to taklif tujhe kya hai
hum denge jawab un ko kuchh aur sawalon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.