kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun
kyā ahd-e-nau meñ apnī pahchān dekhtā huuñ
aksar ba-shakl-e-insāñ haivān dekhtā huuñ
ḳhvāboñ ko, justujū ko, rakhnā abhī safar meñ
kuchh duur chal ke rāheñ āsān dekhtā huuñ
raftār-e-vaqt tū ne paa.ī hai kaisī ujlat
jazboñ meñ asr-e-nau ke haijān dekhtā huuñ
aa.ī hai ḳhāk-e-hastī uTh kar kahāñ se apnī
ḳhvāboñ meñ kuchh jazīre anjān dekhtā huuñ
amn-o-amāñ kī bāteñ shāyad haiñ sirf bāteñ
arz-e-ḳhudā pe har din ghamsān dekhtā huuñ
jab justujū na manzil aur ḳhvāb haiñ na armāñ
phir kis liye safar kā sāmān dekhtā huuñ
tabdīl ho ga.ī haiñ aqdār-e-kohna yuuñ bhī
ye kā.enāt saarī hairān dekhtā huuñ
merī nigāh āḳhir hassās kyuuñ hai utnī
maiñ roz-o-shab badalte insān dekhtā huuñ
detī hai jab bhī fursat kuchh gardish-e-zamāna
rishtoñ meñ apnī baaqī pahchān dekhtā huuñ
guzre the jis meñ lamha bachpan ke qahqahoñ meñ
ḳhvāboñ meñ vo havelī vīrān dekhtā huuñ
kya ahd-e-nau mein apni pahchan dekhta hun
aksar ba-shakl-e-insan haiwan dekhta hun
KHwabon ko, justuju ko, rakhna abhi safar mein
kuchh dur chal ke rahen aasan dekhta hun
raftar-e-waqt tu ne pai hai kaisi ujlat
jazbon mein asr-e-nau ke haijaan dekhta hun
aai hai KHak-e-hasti uTh kar kahan se apni
KHwabon mein kuchh jazire anjaan dekhta hun
amn-o-aman ki baaten shayad hain sirf baaten
arz-e-KHuda pe har din ghamsan dekhta hun
jab justuju na manzil aur KHwab hain na arman
phir kis liye safar ka saman dekhta hun
tabdil ho gai hain aqdar-e-kohna yun bhi
ye kaenat sari hairan dekhta hun
meri nigah aaKHir hassas kyun hai utni
main roz-o-shab badalte insan dekhta hun
deti hai jab bhi fursat kuchh gardish-e-zamana
rishton mein apni baqi pahchan dekhta hun
guzre the jis mein lamha bachpan ke qahqahon mein
KHwabon mein wo haweli viran dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.