kya apne shahr mein koi aisa makan hai
kyā apne shahr meñ koī aisā makān hai
samjhūñ jise ki asl meñ vo ik jahān hai
DhūñDo haqīqat is meñ na afsāna hī koī
is kā bayān kuchh nahīñ us kā bayān hai
apnā shi'ār ab hai faqat amn-dushmanī
ye aur baat fāḳhta apnā nishān hai
likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz
yuuñ to qalam hai haath meñ muñh meñ zabān hai
vo lams jis ke baa'd zamāne guzar ga.e
vo lams ab bhī taaza hai ab bhī javān hai
ho jā.egā yaqīn sabhoñ kā hī kal jo aaj
merā yaqīn aur sabhoñ kā gumān hai
shatranj kī bisāt ki thī apnī mez par
shatranj kī bisāt ki saarā jahān hai
kya apne shahr mein koi aisa makan hai
samjhun jise ki asl mein wo ek jahan hai
DhunDo haqiqat is mein na afsana hi koi
is ka bayan kuchh nahin us ka bayan hai
apna shi'ar ab hai faqat amn-dushmani
ye aur baat faKHta apna nishan hai
likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz
yun to qalam hai hath mein munh mein zaban hai
wo lams jis ke ba'd zamane guzar gae
wo lams ab bhi taza hai ab bhi jawan hai
ho jaega yaqin sabhon ka hi kal jo aaj
mera yaqin aur sabhon ka guman hai
shatranj ki bisat ki thi apni mez par
shatranj ki bisat ki sara jahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.